najaane kon saa ab zulm reh gaya hai qamar
dua wo mangtay hain meri zindagi ke liye
===========================================
apne qaatil kee zahaanat se pareshaan hoon mein
roze ek mot naye tarz kee eejaad kare
===========================================
aye haasil-e-khuloos bataa kya jawaab doon
duniyaa ye poochhtee hai ke mein kyun udaas hoon
===========================================
har aik ke liye naa khulaa rakh isay qateel
ye dil hai ek ghar isay bazaar mat banaa.
===========================================
khamosh zindagi jo basar kar rahe hain hum
gahray samandaron mein safar kar rahe hain hum
===========================================
ab tak dil-e-khush faham ko tujh se hain ummeedein
ye aakhree shamein bhee bujhaane ke liye aa
===========================================
gair to wo bhee nahi shokat magar kya kijiye
jo bohat nazdeek hain wo bhi hain begaane abhi
===========================================
aisee taareekiyan aankhon mein basi hain ke faraz
raat to raat hai hum din ko jalaate hain chiraag
===========================================
is zindagi mein itni furagat kise naseeb
itna naa yaad aa ke tujhe bhool jaaien hum
===========================================
aaj kisi ne baaton baaton mein jab un ka naam liyaa
dil ne jaise thokar khaaee dard ne barh ker thaam liyaa
===========================================
faasle aise bhi honge ye kabhi socha na thaa
saamne baithaa thaa mere aur wo mera na thaa
===========================================